Description
Hindi movie : Naya Daur Resung by : Dr K Chaudhry Album : Mere Taraane Aana hai to aa rah mein kuch pher naheen hai Bhagwan ke ghar der hai andher naheen hai | Jab tujh se suljhen tere uljhe hue dhandhe Bhagwaan ke insaaf pe sab chood de bande Wo khud teri mushkil ko aasaan karega Jo kar na saka tu woh bhagwaan karega | Kahne ki zaroorat nahin aana bahut hai Is dar pe tera sees jhukaana hi bahut hai Jo kuchh hai tere dil mein wo sab usko khabbar hai Bande tere har haal pe maalik ki nazar hai | Bin maange bhi milti hain yahan man ki muraaden Dil saaf ho jinka wo yahan aake sadaa dein Milta hai jahan nayaye wo darbar yahi hai Sansaar ki sabse badi sarkaar yahee hai Aana hai to aa Rah mein kuch pher naheen hai Bhagwan ke ghar der hai andher naheen hai
Channel: Music
Uploaded: November 30, 1999 at 12:00 am
Author: drkchaudhry
|
Length: 06:12
Rating: 1.00
Views: 89
|