Description
Hindi movie : Bahaana Resung by : Dr K Chaudhry Album : Mere Taraane Beraham aasmaan meri manzil bata hai kahaan jo na sochaa thaa wo ho gayaa kyon nasiibaa meraa so gayaa Gam kii aisii ghataa chhaa gayii chain dil kaa kahiin kho gayaa ye bataa kis liye le rahaa hai meraa imtihaaN beraham aasamaan ... Bujh gayaa hai ye dil is tarah chaand pichhale pahar jis tarah itanii taariikiyon men bataa raah dhuundhe koii kis tarah kho gayiin manzilen ho gayaa gum kahiin kaaravaan beraham aasamaan ... jaa rahe.n hai.n na jaane kidhar dekh sakatii nahii.n kuchh nazar chhod di naav manjhadhaar men kis kinaare lage kyaa Kabar kyaa kare.n duur tak roshanii kaa nahii.n hai nishaa.N beraham aasamaa.N ... mujh se qisamat ne dhokha kiya har qadam pe naya gam diya hai khushi ki qasam ki yahaan chain ka saans tak na liya bujh gaya dil mera raas aaya na tera jahaan beraham aasamaan teri duniyaan mein yuun ham jiye aansuyon ke samundar piye dil mein shiqave tadapate rahe honth lekin hamesha siye kab talaq ham rahein teri duniyaan mein yuun bezubaan beraham aasamaan ab koi bhi tamanna nahin ab yahaan ham ko jina nahin zindagi ab tere jaam se ek qatara bhi pina nahin maut ko bhej ke khatm kar de meri dastaan beraham aasamaan
Channel: Music
Uploaded: November 30, 1999 at 12:00 am
Author: drkchaudhry
|
Length: 06:35
Rating: 3.67
Views: 6023
|