Share and download high quality stock photos

Network sites: Free Tutorials  |  Free Templates  |  CSS Gallery Showcase  |  Royalty Free Textures

Aap aaye toh khayaal-e-dil-e-naashaad aaya



Bookmark this video: delicious digg google furl su
Link to this Video:   Embed:

Description

Hindi movie : gumraah Remix Singer : Dr K Chaudhry Album : Mere Taraane Aap aaye toh khayaal-e-dil-e-naashaad aaya -2 Kitne bhoole huwe zakhmon ka pataa yaad aaya Aap aaye toh khayaal-e-dil-e-naashaad aaya Aap aaye Aap ke lab pe kabhi apna bhi naam aaya tha Shokh nazron se, mohabbat ka salaam aaya tha Umr bhar saath nibhaane ka payaam aaya tha -2 Aap ko dekh ke woh ahl-e-wafa yaad aaya Kitne bhoole huwe zakhmon ka pataa yaad aaya Aap aaye toh khayaal-e-dil-e-naashaad aaya Aap aaye Ruh mein jal uthhe bujhti huwi yaadon ke diye Kaise diwaane the ham aap ko paane ke liye Yun to kuch kam nahi jo aap ne ehsaan kiye -2 Par jo maange se, na paaya woh sila yaad aaya Kitne bhoole huwe zakhmon ka pataa yaad aaya Aap aaye toh khayaal-e-dil-e-naashaad aaya Aap aaye Aaj woh baat nahi phir bhi koyi baat toh hai Mere hisse mein ye halki si mulaaqaat toh hai Ghair ka hoke bhi ye husn mere saath toh hai -2 Haaye kis waqt mujhe kab sa gila yaad aaya Kitne bhoole huwe zakhmon ka pataa yaad aaya Aap aaye toh khayaal-e-dil-e-naashaad aaya Aap aaye

Channel: Music
Uploaded: November 30, 1999 at 12:00 am
Author: drkchaudhry

Length: 05:32
Rating: 3.00
Views: 1922